Uski Jam-e-jam Aankhen Shisha-e-badan Mera

us ki jam-e-jam aankhen shisha-e-badan mera

us ki band muTThi mein sara bankpan mera

main ne apne chehre par sab hunar sajae the

fash kar gaya mujh ko sada pairahan mera

dil bhi kho gaya shayad shahr ke sarabon mein

ab meri tarah se hai dard be-watan mera

ek dasht-e-KHamoshi ab mera muqaddar hai

yaad be-sada teri zaKHm be-chaman mera

aao aaj hum donon apna apna ghar chun len

tum nawah-e-dil le lo KHitta-e-badan mera

roz apne KHwabon ka KHun karta rahta hun

hae kin ghanimon se aa paDa hai ran mera

ganw ki hawaon ne phir sandesa bheja hai

muntazir tumhaara hai KHushbuon ka ban mera

(1623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski Jam-e-jam Aankhen Shisha-e-badan Mera In English By Famous Poet Abdullah Kamal. Uski Jam-e-jam Aankhen Shisha-e-badan Mera is written by Abdullah Kamal. Read famous Poem Uski Jam-e-jam Aankhen Shisha-e-badan Mera for youth and Student by Abdullah Kamal. Free Download Uski Jam-e-jam Aankhen Shisha-e-badan Mera in PDF.