Wada-e-wasl Hai Lazzat-e-intizar UTha

wada-e-wasl hai lazzat-e-intizar uTha

aur phir umr bhar ek gham-e-e'tibar uTha

us ka gham mere dil mein hai ab bansuri ki tarah

naghma-e-dard se zaKHma-e-iKHtiyar uTha

main uTha to falak se bahut chand tare gire

aur sahra-e-jaan mein bahut gham-e-ghubar uTha

kuchh raha mere dil mein to ek iztirab raha

main sada apni hi KHak se be-qarar uTha

ai KHuda rizq-e-parwaz de shahparon ko mere

mere atraf se aasman ka hisar uTha

tu mujhe aasman de na de be-zamin na kar

dasht-e-jaan se mere mausam-e-tab-kar uTha

ya meri aankh se chhin le sab KHazana-e-KHwab

ya meri KHak se zindagi ka fishaar uTha

(1239) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wada-e-wasl Hai Lazzat-e-intizar UTha In English By Famous Poet Abdullah Kamal. Wada-e-wasl Hai Lazzat-e-intizar UTha is written by Abdullah Kamal. Read famous Poem Wada-e-wasl Hai Lazzat-e-intizar UTha for youth and Student by Abdullah Kamal. Free Download Wada-e-wasl Hai Lazzat-e-intizar UTha in PDF.