Kaba Hai Kabhi To Kabhi But-KHana Bana Hai

kaba hai kabhi to kabhi but-KHana bana hai

ye dil bhi ajab chiz hai kya kya na bana hai

jis rose se dil aap ka diwana bana hai

ek lafz bhi nikla hai to afsana bana hai

ye aaj ka din hashr ka din to nahin yarab

apna tha jo kal tak wahi begana bana hai

tinkon ka to bas nam hai sachchai yahi hai

ek jehd-e-musalsal hai jo kashana bana hai

taKHrib ke parde mein hi tamir hai saqi

shisha koi pighla hai to paimana bana hai

takmil-e-wafa hosh mein mumkin hi nahin tha

diwana samajh bujh ke diwana bana hai

duniya mein koi mol na tha 'shauq' ka lekin

qismat hai jo sang-e-dar-e-jaanana bana hai

(1212) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaba Hai Kabhi To Kabhi But-KHana Bana Hai In English By Famous Poet Abdullateef Shauq. Kaba Hai Kabhi To Kabhi But-KHana Bana Hai is written by Abdullateef Shauq. Read famous Poem Kaba Hai Kabhi To Kabhi But-KHana Bana Hai for youth and Student by Abdullateef Shauq. Free Download Kaba Hai Kabhi To Kabhi But-KHana Bana Hai in PDF.