Laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair Kare

laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair kare

phir na TuTe koi paimana KHuda KHair kare

har ghaDi jalwa-e-jaanana KHuda KHair kare

tera dil hai ki sanam-KHana KHuda KHair kare

log kar Dalen na KHud apne jigar ke TukDe

be-naqab un ka chale aana KHuda KHair kare

dil ki baat un se abhi kah to gae ho lekin

koi ban jae na afsana KHuda KHair kare

shama bechain hai badnam na ho jaun kahin

par jala baiTha hai parwana KHuda KHair kare

kaun guzrega tere dar-o-rasan se hans kar

gham hai jaane kahan diwana KHuda KHair kare

panw uThte hi nahin 'shauq' jabin hai betab

samne hai dar-e-jaanana KHuda KHair kare

(1091) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair Kare In English By Famous Poet Abdullateef Shauq. Laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair Kare is written by Abdullateef Shauq. Read famous Poem Laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair Kare for youth and Student by Abdullateef Shauq. Free Download Laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair Kare in PDF.