RuThe Hain Humse Dost Hamare Kahan Kahan

ruThe hain hum se dost hamare kahan kahan

TuTe hain zindagi ke sahaare kahan kahan

duniya ki bazgasht mein apni hi hai sada

aise mein koi tujh ko pukare kahan kahan

kabe mein tha sakun na kalisa mein chain tha

tujh se bichhaD ke din ye guzare kahan kahan

tu tha rag-e-gulu se ziyaada qarib-tar

DhunDh aae tujh ko did ke mare kahan kahan

tare kahin hain phul kahin hain guhar kahin

bikhre hue hain ashk hamare kahan kahan

shama bhi muztarib hai patanga bhi muztarib

pahunche hain soz-e-gham ke sharare kahan kahan

fursat mile kabhi to shab-e-gham se ponchhna

TuTe hain chashm-e-'shauq' se tare kahan kahan

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuThe Hain Humse Dost Hamare Kahan Kahan In English By Famous Poet Abdullateef Shauq. RuThe Hain Humse Dost Hamare Kahan Kahan is written by Abdullateef Shauq. Read famous Poem RuThe Hain Humse Dost Hamare Kahan Kahan for youth and Student by Abdullateef Shauq. Free Download RuThe Hain Humse Dost Hamare Kahan Kahan in PDF.