Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya

kuchh na kiya arbab-e-junun ne phir bhi itna kaam kiya

dar-ba-dar uftad se khele zulf-ba-zulf aaram kiya

sawan shoale bhaDke gulshan gulshan aag lagi

kaisa suraj ubhra jis ne subh ko aatish-nam kiya

tanhai bhi sannaTe bhi dil ko Daste jate hain

rahgiro kis des mein aa kar hum ne aaj qayam kiya

qarya-e-gul se dasht-e-bala tak ahl-e-hawas ki yurish thi

kuchh to samajh kar diwanon ne tark-e-jada-e-am kiya

raat ke hathon kab tak rahta shahr-e-nigaran tira-o-tar

apne lahu se hum ne charaghan aaKHir gam-ba-gam kiya

aish bhi guzre ranj bhi guzre dil ki haalat ek rahi

kab jashn-e-aghaz manaya kab KHauf-e-anjam kiya

'mir' ke gyani lakhon dekhe 'mir' si kis mein baat 'uruj'

meri biti aap ne kah len KHud ko abas badnam kiya

(894) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya In English By Famous Poet Abdur Rauf Urooj. Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya is written by Abdur Rauf Urooj. Read famous Poem Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya for youth and Student by Abdur Rauf Urooj. Free Download Kuchh Na Kiya Arbab-e-junun Ne Phir Bhi Itna Kaam Kiya in PDF.