Jism Ke Martaban Mein Kya Hai

jism ke martaban mein kya hai

ruh hai bas makan mein kya hai

ruh kya hai KHuda ko hai malum

apne wahm-o-guman mein kya hai

ek junun hai jo sath chalta hai

kashti-o-baadban mein kya hai

us ko meri ana se jhagDa hai

warna meri zaban mein kya hai

be-gunahon ke KHun ka pyasa tir

aur us ki kaman mein kya hai

ek wada jo sab se sasta hai

aur dene ko dan mein kya hai

kuchh haqaeq ke zinda paikar hain

lafz mein kya bayan mein kya hai

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jism Ke Martaban Mein Kya Hai In English By Famous Poet Abdussamad ’Tapish’. Jism Ke Martaban Mein Kya Hai is written by Abdussamad ’Tapish’. Read famous Poem Jism Ke Martaban Mein Kya Hai for youth and Student by Abdussamad ’Tapish’. Free Download Jism Ke Martaban Mein Kya Hai in PDF.