KHauf-o-wahshat Bar-sar-e-bazar Rakh Jata Hai Kaun

KHauf-o-wahshat bar-sar-e-bazar rakh jata hai kaun

yun rag-e-ehsas par talwar rakh jata hai kaun

kyun wo milne se gurezan is qadar hone lage

mere un ke darmiyan diwar rakh jata hai kaun

mimbar-o-mehrab se aatish-fishan hote to hain

waqt ki dahliz par dastar rakh jata hai kaun

bas KHuda ghafil nahin hai warna is manjdhaar mein

meri kashti ke liye patwar rakh jata hai kaun

ye mera zauq-e-safar hai warna aisi dhup mein

har qadam par ek shajar chhitnar rakh jata hai kaun

dil baDi nazuk si shai hai un se itna puchhiye

TuTe shishon ka yahan ambar rakh jata hai kaun

tirgi apna muqaddar likh chuki phir bhi 'tapish'

aaine mein ek ghalat pindar rakh jata hai kaun

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHauf-o-wahshat Bar-sar-e-bazar Rakh Jata Hai Kaun In English By Famous Poet Abdussamad ’Tapish’. KHauf-o-wahshat Bar-sar-e-bazar Rakh Jata Hai Kaun is written by Abdussamad ’Tapish’. Read famous Poem KHauf-o-wahshat Bar-sar-e-bazar Rakh Jata Hai Kaun for youth and Student by Abdussamad ’Tapish’. Free Download KHauf-o-wahshat Bar-sar-e-bazar Rakh Jata Hai Kaun in PDF.