Dar-e-KHayal Bhi Kholen Siyah Shab Bhi Karen

dar-e-KHayal bhi kholen siyah shab bhi karen

phir us ke baad tujhe sochen ye ghazab bhi karen

wo jis ne sham ke mathe pe hath phera hai

hum us charagh-e-hawa-saz ka adab bhi karen

siyahiyan si bikharne lagi hain sine mein

ab us sitara-e-shab-tab ki talab bhi karen

ye imtiyaz zaruri hai ab ibaadat mein

wahi dua jo nazar kar rahi hai lab bhi karen

ki jaise KHwab dikhana tasalliyan dena

kuchh ek kaam mohabbat mein be-sabab bhi karen

main jaanta hun ki tabir hi nahin mumkin

wo mere KHwab ki tashrih chahe jab bhi karen

shikast-e-KHwab ki manzil bhi kab nai hai hamein

wahi jo karte chale aaen hain so ab bhi karen

(1214) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar-e-KHayal Bhi Kholen Siyah Shab Bhi Karen In English By Famous Poet Abhishek Shukla. Dar-e-KHayal Bhi Kholen Siyah Shab Bhi Karen is written by Abhishek Shukla. Read famous Poem Dar-e-KHayal Bhi Kholen Siyah Shab Bhi Karen for youth and Student by Abhishek Shukla. Free Download Dar-e-KHayal Bhi Kholen Siyah Shab Bhi Karen in PDF.