Jab Se Alfaz Ke Jangal Mein Ghira Hai Koi

jab se alfaz ke jangal mein ghira hai koi

puchhta phirta hai meri bhi sada hai koi

rah ki dhul mein Duba hua aa pahunchega

apne mazi ka pata lene gaya hai koi

raat ke sae mein ek ujDe hue aangan mein

be-sada ThunTH ke manind khaDa hai koi

jab bhi ghabra ke tujhe deta hun ek aadh sada

log kahte hain ki is ghar mein bala hai koi

main wo chiTThi hun miTa jata hai jis ka har harf

paDh ke ek bar mujhe bhul gaya hai koi

aasman raat daraKHton ke qarib aaya tha

puchhta phirta tha kya un mein chhupa hai koi

tum yunhi waqt ganwane pe tule ho 'abid'

kabhi pani pe bhala naqsh bana hai koi

(990) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Alfaz Ke Jangal Mein Ghira Hai Koi In English By Famous Poet Abid Almi. Jab Se Alfaz Ke Jangal Mein Ghira Hai Koi is written by Abid Almi. Read famous Poem Jab Se Alfaz Ke Jangal Mein Ghira Hai Koi for youth and Student by Abid Almi. Free Download Jab Se Alfaz Ke Jangal Mein Ghira Hai Koi in PDF.