Jo ShaKHs Tujhko Farishta Dikhai Deta Hai

jo shaKHs tujh ko farishta dikhai deta hai

wo aaine se Dara sa dikhai deta hai

kiya tha dafn jise farsh ke tale kal raat

wo aaj chhat se utarta dikhai deta hai

teri nigah mein mumkin hai kuchh aTak jae

mujhe to sirf andhera dikhai deta hai

sawal zehn mein chubhte hain nashtaron ki tarah

ye KHun bhi mujhe hota dikhai deta hai

KHala mein Dub chuki hai nigah jab meri

wo puchhte hain tujhe kya dikhai deta hai

nigalta jata hai chup-chap KHushk jangal use

ye aaftab to ThanDa dikhai deta hai

naqab badlo kuchh aise ki moajiza ho jae

hujum warna bikharta dikhai deta hai

tumhaari yaad ke dariya tamam sukh chale

jahan-tahan mujhe sahra dikhai deta hai

sadaen gunjti rahti hain raat-bhar kis ki

makan waise to suna dikhai deta hai

jo peD tum ne lagaya tha mere aangan mein

wo is baras mujhe girta dikhai deta hai

(942) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo ShaKHs Tujhko Farishta Dikhai Deta Hai In English By Famous Poet Abid Almi. Jo ShaKHs Tujhko Farishta Dikhai Deta Hai is written by Abid Almi. Read famous Poem Jo ShaKHs Tujhko Farishta Dikhai Deta Hai for youth and Student by Abid Almi. Free Download Jo ShaKHs Tujhko Farishta Dikhai Deta Hai in PDF.