Mera Badan Hai Magar Mujhse Ajnabi Hai Abhi

mera badan hai magar mujh se ajnabi hai abhi

mere KHayal se mujh mein koi kami hai abhi

sahar sahar na pukaro dubak ke so jao

tumhaare hisse ki shab to bahut paDi hai abhi

na puchho kaise huin Dher ghar ki diwaren

wo ek sada usi malbe mein ghumti hai abhi

wo jis ki lahron ne sadiyon ka farq Dal diya

hamare beach mein hail wahi nadi hai abhi

main thak gaya hun mujhe ek lamha sone do

main jaanta hun ki manzil bahut paDi hai abhi

main us ke waste suraj kahan se aaKHir laun

na jaane raat mujhe kya samajh rahi hai abhi

na jaane kab se safar mein thi us ko mat chheDo

ye gard mere badan par zara jami hai abhi

wo main nahin tha wo meri sada thi galiyon mein

ki mere panw mein zanjir to paDi hai abhi

na jaane waqt kab album sameT le apna

ye tez tez hawa yun to chal rahi hai abhi

(1000) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Badan Hai Magar Mujhse Ajnabi Hai Abhi In English By Famous Poet Abid Almi. Mera Badan Hai Magar Mujhse Ajnabi Hai Abhi is written by Abid Almi. Read famous Poem Mera Badan Hai Magar Mujhse Ajnabi Hai Abhi for youth and Student by Abid Almi. Free Download Mera Badan Hai Magar Mujhse Ajnabi Hai Abhi in PDF.