Kya KHabar Kab Se Pyasa Tha Sahra

kya KHabar kab se pyasa tha sahra

sare dariya ko pi gaya sahra

log pagDanDiyon mein khoe rahe

mujh ko rasta dikha gaya sahra

dhup ne kya kiya suluk us se

jaise dharti pe bojh tha sahra

baDhti aati thi mauj dariya ki

main ne ghar mein bula liya sahra

jaane kis shaKHs ka muqaddar hai

dhup mein tapta be-sada sahra

kho ke apna wajud andhere mein

raat kitna udas tha sahra

zehn ko wadiyan uThate phiren

aankh mein aa ke bas gaya sahra

mere qadmon ko chumne ke liye

raste raste se ja mila sahra

main samundar ko ghar mein le aaya

mere dar par paDa raha sahra

mera is mein bikharna tha 'abid'

phir mujhe DhunDhta phira sahra

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya KHabar Kab Se Pyasa Tha Sahra In English By Famous Poet Abid Almi. Kya KHabar Kab Se Pyasa Tha Sahra is written by Abid Almi. Read famous Poem Kya KHabar Kab Se Pyasa Tha Sahra for youth and Student by Abid Almi. Free Download Kya KHabar Kab Se Pyasa Tha Sahra in PDF.