Kaf-e-KHizan Pe Khila Main Is Etibar Ke Sath

kaf-e-KHizan pe khila main is e'tibar ke sath

ki har numu ka talluq nahin bahaar ke sath

wo ek KHamosh parinda shajar ke sath raha

chahakne wale gae baad-e-sazgar ke sath

khule daron se talabgar KHwab-gahen magar

main jagta raha ek KHwab-ham-kanar ke sath

kali khili hai sar-e-shaKH aur ye kahti hai

ki koi dekhe tamanna-e-KHush-gawar ke sath

wo mujh ko wo na laga dekhta sisakta hua

nigah-e-zard ke sath aur dil-e-figar ke sath

madar-e-waqt wo gunjaishen zara phir se

ki paD rahen kisi diwar-e-saya-dar ke sath

(996) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaf-e-KHizan Pe Khila Main Is Etibar Ke Sath In English By Famous Poet Abid Syal. Kaf-e-KHizan Pe Khila Main Is Etibar Ke Sath is written by Abid Syal. Read famous Poem Kaf-e-KHizan Pe Khila Main Is Etibar Ke Sath for youth and Student by Abid Syal. Free Download Kaf-e-KHizan Pe Khila Main Is Etibar Ke Sath in PDF.