Jab Se Dariya Mein Hai Tughyani Bahut

jab se dariya mein hai tughyani bahut

par jaane mein hai aasani bahut

koi manzar bhi nahin achchha laga

ab ke aaankhon mein hai virani bahut

apni qimat to nahin lekin yahan

aise gauhar ki hai arzani bahut

khet hain banjar to sahra be-numu

warna dariyaon mein hai pani bahut

us ke chehre par meri aankhen sajin

mere chehre par thi hairani bahut

kya KHulus-o-mehr ki baaten karen

zindagi mein hai pashemani bahut

har kisi ko ilm hai 'abid-wadud'

baaten us ki jaani-pahchani bahut

(721) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Dariya Mein Hai Tughyani Bahut In English By Famous Poet Abid Wadood. Jab Se Dariya Mein Hai Tughyani Bahut is written by Abid Wadood. Read famous Poem Jab Se Dariya Mein Hai Tughyani Bahut for youth and Student by Abid Wadood. Free Download Jab Se Dariya Mein Hai Tughyani Bahut in PDF.