Na Ghar Sukun-kada Hai Na KarKHana-e-ishq

na ghar sukun-kada hai na karKHana-e-ishq

magar ye hum hain ki likhte rahe hain nama-e-ishq

bahut se nam the ab koi yaad aata nahin

hamare dil mein raha dafn ek KHazana-e-ishq

sab apne apne tariqe se bhik mangte hain

koi ba-nam-e-mohabbat koi ba-jama-e-ishq

tumhi pe kya ki hum ab KHud pe bhi nahin khulte

to kya ye kam hai ki hum par khula fasana-e-ishq

kai zamane gae aur badal gaya sab kuchh

magar kabhi nahin badla tera zamana-e-ishq

sulagte rahne ki lazzat use kahan malum

ki jab talak koi banta nahin nishana-e-ishq

use phir apni KHabar bhi nahin rahi 'abid'

laga hai jis ko bhi ek bar taziyana-e-ishq

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Ghar Sukun-kada Hai Na KarKHana-e-ishq In English By Famous Poet Abid Wadood. Na Ghar Sukun-kada Hai Na KarKHana-e-ishq is written by Abid Wadood. Read famous Poem Na Ghar Sukun-kada Hai Na KarKHana-e-ishq for youth and Student by Abid Wadood. Free Download Na Ghar Sukun-kada Hai Na KarKHana-e-ishq in PDF.