PhaTa Hua Jo Gareban Dikhai Deta Hai

phaTa hua jo gareban dikhai deta hai

kisi ka dard numayan dikhai deta hai

nikalna chahta hun jism ke hisar se main

ki apna tan mujhe zindan dikhai deta hai

sara-e-dahr mein Thahra hua musafir hun

ajib be-sar-o-saman dikhai deta hai

tere labon ke tabassum ko kis se dun tashbih

ki ghuncha bhi to pareshan dikhai deta hai

har ek shaKHs kisi KHauf ki giraft mein hai

tamam shahr hirasan dikhai deta hai

jo ho sake to kabhi us ki ruh mein jhanko

qaba pahan ke jo uryan dikhai deta hai

maash aisi ki sunsan hain gali bazar

bhaTakta aisa ki insan dikhai deta hai

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PhaTa Hua Jo Gareban Dikhai Deta Hai In English By Famous Poet Abid Wadood. PhaTa Hua Jo Gareban Dikhai Deta Hai is written by Abid Wadood. Read famous Poem PhaTa Hua Jo Gareban Dikhai Deta Hai for youth and Student by Abid Wadood. Free Download PhaTa Hua Jo Gareban Dikhai Deta Hai in PDF.