Hairan Nahin Hain Hum Ki Pareshan Nahin Hain Hum

hairan nahin hain hum ki pareshan nahin hain hum

is par bhi shaki-e-gham-e-dauran nahin hain hum

shikwa zaban pe laen wo insan nahin hain hum

tere sitam-ba-KHair pareshan nahin hain hum

KHak apni KHak-e-kucha-e-jaanan mein ja mili

ehsanmand-e-gor-e-ghariban nahin hain hum

aankhon mein ashk dagh jigar mein labon pe aah

sab kuchh hai pas be-sar-o-saman nahin hain hum

gulha-e-ashk-e-KHun se hai daman bhara hua

kis ne kaha ki KHuld-ba-daman nahin hain hum

hum se gurez hum se ye be-eatinaiyan

ai dost bul-hawas ka to arman nahin hain hum

hasrat jo aa gai wo nikal hi nahin saki

wa ho sake jo 'abr' wo zindan nahin hain hum

(793) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hairan Nahin Hain Hum Ki Pareshan Nahin Hain Hum In English By Famous Poet Abr Ahsani Ganauri. Hairan Nahin Hain Hum Ki Pareshan Nahin Hain Hum is written by Abr Ahsani Ganauri. Read famous Poem Hairan Nahin Hain Hum Ki Pareshan Nahin Hain Hum for youth and Student by Abr Ahsani Ganauri. Free Download Hairan Nahin Hain Hum Ki Pareshan Nahin Hain Hum in PDF.