Wahin Se Had Mili Hai Ja Pahunchta Ku-e-jaanan Tak

wahin se had mili hai ja pahunchta ku-e-jaanan tak

rasai saliko jab aql kar le hadd-e-imkan tak

junun mein dast-e-laghar ka hai qabza us bayaban tak

jahan sau manzilen paDti hain daman se gareban tak

mere dast-e-junun ka zor aur phir zor bhi kaisa

ki hamrah-e-gareban khinche lata hai rag-e-jaan tak

tumhein to khel tha nazren mila kar munh chhupa lena

yahan nashtar hazaron ruk gae aa kar rag-e-jaan tak

kafan mein koi dekhe aaj un hathon ki majburi

raha karte the gardish mein jo daman se gareban tak

(610) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahin Se Had Mili Hai Ja Pahunchta Ku-e-jaanan Tak In English By Famous Poet Abr Ahsani Ganauri. Wahin Se Had Mili Hai Ja Pahunchta Ku-e-jaanan Tak is written by Abr Ahsani Ganauri. Read famous Poem Wahin Se Had Mili Hai Ja Pahunchta Ku-e-jaanan Tak for youth and Student by Abr Ahsani Ganauri. Free Download Wahin Se Had Mili Hai Ja Pahunchta Ku-e-jaanan Tak in PDF.