Humne Rakkha Tha Jise Apni Kahani Mein Kahin

hum ne rakkha tha jise apni kahani mein kahin

ab wo tahrir hai auraq-e-KHizani mein kahin

bas ye ek saat-e-hijran hai ki jati hi nahin

koi Thahra bhi hai is aalam-e-fani mein kahin

jitna saman bhi ikaTTha kiya is ghar ke liye

bhul jaenge use naql-e-makani mein kahin

KHair auron ka to kya zikr ki ab lagta hai

tu bhi shamil hai mere ranj-e-zamani mein kahin

chashm-e-namnak ko is darja haqarat se na dekh

tujh ko mil jaana hai ek din isi pani mein kahin

markaz-e-jaan to wahi tu hai magar tere siwa

log hain aur bhi is yaad purani mein kahin

jashn-e-matam bhi hai raunaq si tamashai ko

koi naghma bhi hai is marsiya-KHwani mein kahin

aaj ke din mein kisi aur hi din ki hai jhalak

sham hai aur hi is sham suhani mein kahin

kya samajh aae kisi ko mujhe malum bhi hai

baat kar jata hun main apni rawani mein kahin

(756) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Rakkha Tha Jise Apni Kahani Mein Kahin In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Humne Rakkha Tha Jise Apni Kahani Mein Kahin is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Humne Rakkha Tha Jise Apni Kahani Mein Kahin for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Humne Rakkha Tha Jise Apni Kahani Mein Kahin in PDF.