Hamein KHabar Nahin Kuchh Kaun Hai Kahan Koi Hai

hamein KHabar nahin kuchh kaun hai kahan koi hai

hamesha shad ho aabaad ho jahan koi hai

jagah na chhoDe ki sail-e-bala hai tez bahut

uDa paDa hi rahe ab jahan tahan koi hai

fishaar-e-girya kisi taur be-maqam nahin

dayar-e-gham hai kahin par pas-e-fughan koi hai

wo koi KHadsha hai ya wahm-e-KHwab hai ki KHayal

ki ho na ho mere dil apne darmiyan koi hai

kabhi to aisa hai jaise kahin pe kuchh bhi nahin

kabhi ye lagta hai jaise yahan wahan koi hai

kabhi kabhi to ye lagta hai fard fard hain hum

ye aur baat hamara bhi karwan koi hai

kahin pahunchna nahin hai use magar phir bhi

misal-e-baad-e-bahaaran rawan-dawan koi hai

hua hai apne safar se hazar se begana

wahin wahin pe nahin hai jahan jahan koi hai

chhalak jo uThti hai ye aankh fart-e-wasl mein bhi

to sarKHushi mein abhi ranj-e-raegan koi hai

shikast-e-dil hai to kya rah-e-ishq tark na kar

ye dekh kya kahin parwarda-e-ziyan koi hai

ab us nigah-e-fusun-kar ka qusur hai kya

hamein dikhao agar zaKHm ka nishan koi hai

kahin pe aaj bhi wo ghar hai hansta basta hua

ye wahm sa hai tere dil ko ya guman koi hai

jawar-e-qarya-e-yaran mein ja nikalta hun

ki jaise ab bhi wahin mera mehrban koi hai

(876) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamein KHabar Nahin Kuchh Kaun Hai Kahan Koi Hai In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Hamein KHabar Nahin Kuchh Kaun Hai Kahan Koi Hai is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Hamein KHabar Nahin Kuchh Kaun Hai Kahan Koi Hai for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Hamein KHabar Nahin Kuchh Kaun Hai Kahan Koi Hai in PDF.