Gurezan Tha Magar Aisa Nahin Tha

gurezan tha magar aisa nahin tha

ye mera ham-safar aisa nahin tha

yahan mehman bhi aate the hawa bhi

bahut pahle ye ghar aisa nahin tha

yahan kuchh log the un ki mahak thi

kabhi ye rahguzar aisa nahin tha

raha karta tha jab wo is makan mein

to rang-e-baam-o-dar aisa nahin tha

bas ek dhun thi nibha jaane ki us ko

ganwane mein zarar aisa nahin tha

mujhe to KHwab hi lagta hai ab tak

wo kya tha wo agar aisa nahin tha

paDegi dekhni diwar bhi ab

ki ye sauda-e-sar aisa nahin tha

KHabar lun ja ke us isa-nafs ki

wo mujh se be-KHabar aisa nahin tha

na jaane kya hua hai kuchh dinon se

ki main ai chashm-e-tar aisa nahin tha

yun hi nimTa diya hai jis ko tu ne

wo qissa muKHtasar aisa nahin tha

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gurezan Tha Magar Aisa Nahin Tha In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Gurezan Tha Magar Aisa Nahin Tha is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Gurezan Tha Magar Aisa Nahin Tha for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Gurezan Tha Magar Aisa Nahin Tha in PDF.