Kuchh Kaam Nahin Hai Yahan Wahshat Ke Barabar

kuchh kaam nahin hai yahan wahshat ke barabar

so tum hamein gham do koi himmat ke barabar

kab lagta hai ji rah-e-sahulat mein hamesha

aur milta hai kab ranj zarurat ke barabar

aasaish-o-aram ho ya jah-o-hasham ho

kya chiz yahan par hai mohabbat ke barabar

gunjaish-e-afsos nikal aati hai har roz

masruf nahin rahta hun fursat ke barabar

bhar lae hain hum aankh mein rakhne ko muqabil

ek KHwab-e-tamanna teri ghaflat ke barabar

rakh denge tere panw mein hum mauj mein aa kar

duniya hai kahan jaan ki qimat ke barabar

phir kashmakash-e-sud-o-ziyan kar-e-ziyan hai

jab jit bhi Thahri hai hazimat ke barabar

jine mein jo ehsas-e-tafaKHur hai kahan hai

jite chale jaane ki nadamat ke barabar

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Kaam Nahin Hai Yahan Wahshat Ke Barabar In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Kuchh Kaam Nahin Hai Yahan Wahshat Ke Barabar is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Kuchh Kaam Nahin Hai Yahan Wahshat Ke Barabar for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Kuchh Kaam Nahin Hai Yahan Wahshat Ke Barabar in PDF.