Kya Jaaniye Kya Hai Had-e-idrak Se Aage

kya jaaniye kya hai had-e-idrak se aage

bas KHak hai is teri meri KHak se aage

hai shor-e-fughan KHamushi-e-marg ke pichhe

ek tez hawa hai KHas-o-KHashak se aage

hum dekhte hain aankh mein sahme hue aansu

ek chup hai kahin KHanda-e-be-bak se aage

ek rang sa hai rang-e-tamanna se mumasil

ek abr sa hai dida-e-nam-nak se aage

main apne kisi KHwab ki munh-zor hawa mein

aksar hi nikal jata hun aflak se aage

kya shor karen girya-e-usshaq se baDh kar

kya zor karen pairhan-e-chaak se aage

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Jaaniye Kya Hai Had-e-idrak Se Aage In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Kya Jaaniye Kya Hai Had-e-idrak Se Aage is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Kya Jaaniye Kya Hai Had-e-idrak Se Aage for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Kya Jaaniye Kya Hai Had-e-idrak Se Aage in PDF.