Zamin Nahin Ye Meri Aasman Nahin Mera

zamin nahin ye meri aasman nahin mera

mata-e-KHwab ba-juz kuchh yahan nahin mera

ye unT aur kisi ke hain dasht mera hai

sawar mere nahin sar-ban nahin mera

mujhe tumhaare tayaqqun se KHauf aata hai

ki is yaqin mein shamil guman nahin mera

main ho gaya hun KHud apne safar se begana

ki nind meri hai KHwab-e-rawan nahin mera

to aab o KHak se bach kar kidhar ko jata main

dawam-e-wasl hai baqi nishan nahin mera

phir ek din usi miTTi ko lauT jaunga

gurez tujh se rah-e-raftagan nahin mera

sada-e-shahr-e-guzishta abhi bulati hai

go ab aziz koi bhi wahan nahin mera

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Nahin Ye Meri Aasman Nahin Mera In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Zamin Nahin Ye Meri Aasman Nahin Mera is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Zamin Nahin Ye Meri Aasman Nahin Mera for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Zamin Nahin Ye Meri Aasman Nahin Mera in PDF.