Ye Yaqin Ye Guman Hi Mumkin Hai

ye yaqin ye guman hi mumkin hai

tujh se milna yahan hi mumkin hai

KHwab ek mumkin o mayassar ka

garche us ka bayan hi mumkin hai

behad o be-hisab shauq mein bhi

qasd ku-e-butan hi mumkin hai

tangna-e-jahan-e-zahir mein

ye zamin ye zaman hi mumkin hai

had se had is rah-e-hazimat mein

pursish-rah-rawan hi mumkin hai

aatish-e-dil pe Dalne ke liye

reg-e-rah-e-rawan hi mumkin hai

sarhad-e-mumkinat se aage

sar pe ek aasman hi mumkin hai

aan baiThe ki ji lagane ko

sohbat-e-dostan hi mumkin hai

arsa-e-zindagi mein teri meri

sirf ek dastan hi mumkin hai

kya tamasha hai yan uThane ko

ek bar-e-giran hi mumkin hai

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Yaqin Ye Guman Hi Mumkin Hai In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Ye Yaqin Ye Guman Hi Mumkin Hai is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Ye Yaqin Ye Guman Hi Mumkin Hai for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Ye Yaqin Ye Guman Hi Mumkin Hai in PDF.