Dawam-e-wasl Ka KHwab

pakki gandum ke KHoshon mein

umaDte din ke Deron mein

andhere ki ghani shaKHon

parindon ke baseron mein

thake baadal se girte nam ke andar

utarti sham ke andar

dawam-e-wasl ka ek KHwab hai

jo sans leta hai

mahakti sar-zaminon mein

makanon mein makinon mein

tere mere ilaqon mein

hamare ahd-namon mein

larazte baadbanon mein

kahin duri ke giton mein

kahin qurbat ki tanon mein

azal se ta-abad phaili hui

is chadar-e-aflak ke andar

rida-e-KHak ke andar

hamari nind ki galiyon mein

apni dhun bajata hai

makan-e-afiyat ke band darwaze giraata hai

(1615) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dawam-e-wasl Ka KHwab In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Dawam-e-wasl Ka KHwab is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Dawam-e-wasl Ka KHwab for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Dawam-e-wasl Ka KHwab in PDF.