Hamare Dukhon Ka Ilaj Kahan Hai

agar hamare dukhon ka ilaj

nind hai

to koi hum se ziyaada gahri nind nahin so sakta

aur na hi itni aasani aur KHub-surati se

koi nind mein chal sakta hai

agar hamare dukhon ka ilaj

jagna hai

to hum is qadar jag sakte hain

ki har raat hamari aankhon mein aaram kar sakti hai

aur har darwaza

hamare dil mein khul sakta hai

agar hamare dukhon ka ilaj

hansna hai

to hum itna hans sakte hain

ki parinde, daraKHton se uD jaen

aur pahaD hamari hansi ki gunj se bhar jaen

hum itna hans sakte hain

ki koi masKHara ya pagal

is ka tasawwur tak nahin kar sakta

agar hamare dukhon ka ilaj

rona hai

to hamare pas itne aansu hain

ki in mein sari duniya ko Duboya ja sakta hai

jahannam bujhae ja sakte hain

aur sari zamin ko pani diya ja sakta hai

agar hamare dukhon ka ilaj

jina hai

to hum se ziyaada ba-mani zindagi

kaun guzar sakta hai

aur kaun aise saliqe aur aziyyat se

is duniya ko dekh sakta hai

agar hamare dukhon ka ilaj

bolna hai

to hum hawa ki tarah guftugu kar sakte hain

aur apne lafzon ki KHushbu se

phul khila sakte hain

aur agar tum kahte ho:

hamare dukhon ka ilaj kahin nahin hai

to hum chup rah sakte hain

qabron se bhi ziyaada

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Dukhon Ka Ilaj Kahan Hai In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Hamare Dukhon Ka Ilaj Kahan Hai is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Hamare Dukhon Ka Ilaj Kahan Hai for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Hamare Dukhon Ka Ilaj Kahan Hai in PDF.