Hawa Jab Tez Chalti Hai

hawa jab tez chalti hai

shikasta KHwab jab maTiyale raston par

murad-e-amn pakaDte hain

jhuki shaKHon ke honTon par

kisi bhule hue naghme ki tanen

jab ulaTti hain

guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain

sitare jab larazte hain

meri aankhon ki sarhad par

ufuq dhund lane lagta hai

mahak aate dinon ki phail jati hai

masham-e-jaan mein ek munh-zor KHwahish

maut ban kar jagti hai jab

guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain

gale jab waqt milte hain

tere mere zamanon ke parinde

uDne lagte hain

sahar jab dhimi dhimi dastakon mein

nind ki jholi mein girti hai

main tere hath

KHwabon ke phisalte lams par mahsus karta hun

tere honTon ki larzish

mujh se ruKHsat mein lipaTti hai

main tujh ko dekh sakta hun

mujhe phir mil sakega wahima

jis qaid mein aa kar

meri umren sanwarti hain

wo mausam jis mein tere nam ki KHushbu

meri sansen bhigoti hai

wahi ek sham

jis aanchal mein mera dil dhaDakta hai

wahi ek zindagi jis mein

guzishta wahm ki aankhen mere sine mein girti hain

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Jab Tez Chalti Hai In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Hawa Jab Tez Chalti Hai is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Hawa Jab Tez Chalti Hai for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Hawa Jab Tez Chalti Hai in PDF.