Hum Ki Ek Bhes Liye Phirte Hain

kaun se des ki babat puchhe

waqt ke dasht mein phirti

ye KHunuk sard hawa

kin zamanon ki ye madfun mahak

bad-numa shahr ki galiyon mein uDi phirti hai

aur ye dur talak phaili hui

nind aur KHwab se bojhal bojhal

eatibar aur yaqin ki manzil

jis ki taid mein har shai hai

baqa hai lekin

apne manzar ke andheron se pare

hum KHunuk sard hawa sun bhi saken

hum ki kis des ki pahchan mein hain

hum ki kis lams ki taid mein hain

hum ki kis zoam ki taufiq mein hain

hum ki ek zabt-e-musalsal hain

zamanon ke abad se larzan

wahm ke ghar ke makin

apne hi des mein pardes liye phirte hain

hum ki ek bhes liye phirte hain

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Ki Ek Bhes Liye Phirte Hain In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Hum Ki Ek Bhes Liye Phirte Hain is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Hum Ki Ek Bhes Liye Phirte Hain for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Hum Ki Ek Bhes Liye Phirte Hain in PDF.