Kahin TuTte Hain

bahut dur tak

ye jo viran si rahguzar hai

jahan dhul uDti hai

sadiyon ki be-e'tinai mein

khoe hue

qafilon ki sadaen bhaTakti hui

phir rahi hain, daraKHton mein

aansu mein

sahraon ki KHamushi hai

udhaDte hue KHwab hain

aur uDte hue KHushk patte

kahin Thokaren hain

sadaen hain

afsun hai samton ka

hadd-e-nazar tak

ye tarik sa jo kura hai

ufuq-ta-ufuq jo ghaneri rida hai

jahan aankh mein tairte hain zamane

ki hum Dubte hain

to is mein

talluq hi, wo raushni hai

jo insan ko jine ka rasta dikhati hai

kandhon pe

hathon ka lams-e-gurezan hain

hone ka mafhum hai ghaaliban

wagarna wahi raat hai chaar-su

jis mein hum tum bhaTakte hain

aur laDkhaDate hain, girte hain

aur aasman, hath apne baDha kar

kahin Tank deta hai hum ko

kahin phir chamakte, kahin TuTte hain

(748) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin TuTte Hain In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Kahin TuTte Hain is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Kahin TuTte Hain for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Kahin TuTte Hain in PDF.