MiTTi Thi Kis Jagah Ki

be-faiz saaton mein

munh-zor mausamon mein

KHud se kalam karte

ukhDi hui tanabon

din-bhar ki saKHtiyon se

ukta ke so gae the

barish thi be-nihayat

miTTi se uTh rahi thi

KHushbu kisi watan ki

KHushbu se jhankte the

galiyan makan dariche

aur bachpane ke aangan

ek dhup ke kinare

aasaishon ke maidan

uDte hue parinde

ek ujle aasman par

do nim-baz aankhen

bedariyon ki zad par

ta-hadd-e-KHak uDte

be-samt be-irada

kuchh KHwab fursaton ke

kuchh nam chahaton ke

kin paniyon mein utre

kin bastiyon se guzre

thi subh kis zamin par

aur shab kahan pe aai

miTTi thi kis jagah ki

uDti phiri kahan par

is KHak-dan pe kuchh bhi

daim nahin rahega

hai panw mein jo chakkar

qaem nahin rahega

dastak thi kin dinon ki

aawaz kin ruton ki

KHana-ba-dosh jage

KHemon mein uD rahi thin

aankhon mein bhar gai thi

ek aur shab ke ninden

aur shahr-e-be-aman mein

phir subh ho rahi thi

(1158) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiTTi Thi Kis Jagah Ki In English By Famous Poet Abrar Ahmad. MiTTi Thi Kis Jagah Ki is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem MiTTi Thi Kis Jagah Ki for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download MiTTi Thi Kis Jagah Ki in PDF.