Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9e54414481b77f008f3602548c3789fa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Dar Lagta Hai - Abrar Ahmad Poetry In English - Darsaal

Mujhe Dar Lagta Hai

aao hum aaj hi khul kar rolen

jaane kab waqt mile

aankh mein jitne bhare hain aansu

aao hum aaj baha den un ko

ghat mein umr bhi hai

waqt bhi raftar bhi hai

kaun jaane ki milen raste kab manzil se

kaun jaane ki raha honge safar se kab tak

kaun jaane yahan kis rut ki rida se utren

phul jin mein teri mahkar na ho

kaun ye jaan sake tere huruf

mere honTon se kahan TuT giren

shahr-e-ainda ke but-KHane mein

kya pata ek teri taswir na ho

yun to ab kya hai jo khona hai mujhe

ab to bas chain se sona hai mujhe

(1190) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Dar Lagta Hai In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Mujhe Dar Lagta Hai is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Mujhe Dar Lagta Hai for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Mujhe Dar Lagta Hai in PDF.