Pichhle Pahar Ki Dastak
tere shahr ki sard galiyon ki aahaT
mere KHun mein sarsarai
main chaunka
yahan kaun hai
main pukara magar
dur KHali saDak par kahin
raat ke Dubte pahar ki KHamushi chal paDi
rat-jagon ki thakawaT mein Dubi hui
aankh se KHwab nikla koi
laDkhaData hua
raat ke sard aangan mein girta hua
KHali shaKHon mein aTke hue
chand ki aankh se ek aansu gira
aur sine mein gum ho gaya
dhund ki narm poren
masamon mein chalne lagin
do taraf istada daraKHton ke niche
bahe aansuon ki mahak mein mujhe
nind aane lagi
(790) Peoples Rate This