Waqt Guzarta Nahin

waqt koi sham nahin

jise wahshat se Dhanpa ja sake

na koi git, jis ki lai

hamare honTon ki giraft mein ho

ye ek la-matanahi la-talluq hai

waqt Thahra rahta hai

un zaminon par

jahan se nae qafile nikal paDte hain

waqt-guzari ke kaThin safar par

guzishta bahut pichhe rah gaya

jahan tak koi saDak nahin jati

gaDi ki khaT-khaT se

shahr ki virani kahan kam hoti hai

muqaffal gharon

aur qahwa-KHanon ki bhunbhunahat mein

sari baaten to log karte hain!

kitabon ki jilden, kaghazon ka shor

mobile ke paighamat

aur waqt guzar jata hai

haalanki nahin guzarta

bachchon ko siDhiyan chaDha chukne ke baad

dahliz par baiTh kar

kisi be-samt ufuq ko ghurte hue?

hisab karte hue

un KHwabon ka, jo dekhe

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Guzarta Nahin In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Waqt Guzarta Nahin is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Waqt Guzarta Nahin for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Waqt Guzarta Nahin in PDF.