Zinda Aadmi Se Kalam

kabhi waqt ki sans mein

honT uljha ke dekhe hain tum ne

ki is bad-guman mausamon ke mughanni ki tanen

nihan KHana-e-dil mein

gahri KHamoshi ki haibat giraati chali ja rahi hain

azal se abad tak bipharte hue

sail-e-be-maigi mein kabhi

dil ukhaDte hue shahr girte hue

dekh pae ho tum

kabhi bhige bhige se diwar-o-dar mein

ki bachpan ki galiyon makanon mein

barish ki aawaz se dil dahalte hue

kisi mushtarak KHauf ki aahaTon se

dhaDakte hue baam-o-dar aur zine

musalsal hawa aur barish ki aawaz chalti hui

kabhi munh-andhere ki taqdis mein

dur se aati gaDi ki siTi ko sunte hue

tum ne socha hai un ke liye

jin ke qadmon mein manzil

musalsal azab aur KHwabon se tabir tak dur hai

kabhi sham ki sansanati hawa mein

ThiThurti KHamoshi ki sahmi sada sun ke

darwaza khola hai un ke liye

jin ke hathon ki larzish mein dastak nahin

mujhe puchhna hai

ki khulte hue phul chalti hawa

aur guzre mah-o-sal ki dastakon par

na ho sakne walon pe aansu bahae hain tum ne

ki main

raat ki ek hichki mein Thahri hui sans hun

aur tumhaari ghani nind ke bazuon se

phisalta hua lams hun

(920) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zinda Aadmi Se Kalam In English By Famous Poet Abrar Ahmad. Zinda Aadmi Se Kalam is written by Abrar Ahmad. Read famous Poem Zinda Aadmi Se Kalam for youth and Student by Abrar Ahmad. Free Download Zinda Aadmi Se Kalam in PDF.