KHayal Lams Ka Kar-e-sawab Jaisa Tha

KHayal lams ka kar-e-sawab jaisa tha

asar sada ka bhi mauj-e-sharab jaisa tha

waraq nuche hue sab lafz o mani gum-sum the

ye baat sach hai wo chehra kitab jaisa tha

tamam raat wo pahlu ko garm karta raha

kisi ki yaad ka nashsha sharab jaisa tha

udas zarron ke ham-rah koi phirta raha

KHamoshiyon ka bayaban sarab jaisa tha

ek umr khoi to ye raaz mujh pe fash hua

KHayal-e-mahr-o-wafa naqsh-e-ab jaisa tha

(827) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHayal Lams Ka Kar-e-sawab Jaisa Tha In English By Famous Poet Abrar Azmi. KHayal Lams Ka Kar-e-sawab Jaisa Tha is written by Abrar Azmi. Read famous Poem KHayal Lams Ka Kar-e-sawab Jaisa Tha for youth and Student by Abrar Azmi. Free Download KHayal Lams Ka Kar-e-sawab Jaisa Tha in PDF.