BaDhe Hai Din-ba-din Tujh Mukh Ki Tab Aahista Aahista

baDhe hai din-ba-din tujh mukh ki tab aahista aahista

ki jun kar garm ho hai aaftab aahista aahista

kiya KHat nen tere mukh kun KHarab aahista aahista

gahan jun mah kun leta hai dab aahista aahista

laga hai aap sin ai jaan tere aashiq ka dil rah rah

kare hai mast kun be-KHud sharab aahista aahista

dil aashiq ka kali ki tarah khilta jae KHush ho ho

ada sin jab kabhi khole naqab aahista aahista

laga hai 'abru' mujh kun 'wali' ka KHub ye misra

sawal aahista aahista jawab aahista aahista

(661) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDhe Hai Din-ba-din Tujh Mukh Ki Tab Aahista Aahista In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. BaDhe Hai Din-ba-din Tujh Mukh Ki Tab Aahista Aahista is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem BaDhe Hai Din-ba-din Tujh Mukh Ki Tab Aahista Aahista for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download BaDhe Hai Din-ba-din Tujh Mukh Ki Tab Aahista Aahista in PDF.