Dushman-e-jaan Hai Tishna-e-KHun Hai

dushman-e-jaan hai tishna-e-KHun hai

shoKH hai bank hai nikat bhun hai

tujh kun laila bhi dekh majnun hai

dil-rubaon ka dil-ruba tun hai

dil ke chhilne kun ye laTak chalna

sehr hai ToTka hai afsun hai

KHal-e-mushkin hai lal lab-ha par

ya mai-e-surKH bich afyun hai

aan hai dard ke zaifan par

aah dil ki alif hai qad nun hai

darguzar kar raqib sin ai dil

be-haya hai rijala hai dun hai

dard-e-sar ka ilaj kyun na kare

yar ka rang sandali-gun hai

shaiKH KHirqe mein jab muraqib ho

gurba miskin hai meri jun hai

gar wafadar-kush nahin wo shoKH

'abru' sath dushmani kyun hai

(662) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dushman-e-jaan Hai Tishna-e-KHun Hai In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Dushman-e-jaan Hai Tishna-e-KHun Hai is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Dushman-e-jaan Hai Tishna-e-KHun Hai for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Dushman-e-jaan Hai Tishna-e-KHun Hai in PDF.