Fajar UTh KHwab Sin Gulshan Mein Jab Tumne Mali Ankhiyan

fajar uTh KHwab sin gulshan mein jab tum ne mali ankhiyan

gain mund sharm sun nargis ki pyare jun kali ankhiyan

nazar bhar dekh tere aatishin ruKHsar ai gul-ru

mere dil ki ba-rang-e-qatra-e-shabnam gali ankhiyan

KHiraman aab-e-haiwan jun chala jab jaan aage sin

anjhu ka bhes kar pichhun sin pyare bah chali ankhiyan

tumhein auron sin duna dekhti hain KHush-numai mein

hunar jaane hain apna aaj aib-e-ahwali ankhiyan

pakaD mizhgan ke panje sun maroDa yun mere dil ko

teri zor-awari mein aaj rustam hain bali ankhiyan

tera har uzw pyare KHush-numa hai uzw-e-digar sin

mizha sin KHub-tar abru wa abru sin bhali ankhiyan

tahayyur ke phande mein said ho kar chaukDi bhule

agar aahu kun dikhlaun sajan ki achpali ankhiyan

hui fanus gardun ke siyah kajal sun sar-ta-pa

shab-e-hijran mein teri shama ho yan lag jali ankhiyan

zaban kar apne mizhgan kun lagi hain reKHte paDhne

hui hain 'abru' ke wasf mein teri wali ankhiyan

(693) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fajar UTh KHwab Sin Gulshan Mein Jab Tumne Mali Ankhiyan In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Fajar UTh KHwab Sin Gulshan Mein Jab Tumne Mali Ankhiyan is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Fajar UTh KHwab Sin Gulshan Mein Jab Tumne Mali Ankhiyan for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Fajar UTh KHwab Sin Gulshan Mein Jab Tumne Mali Ankhiyan in PDF.