Gali Akeli Hai Pyare Andheri Raaten Hain

gali akeli hai pyare andheri raaten hain

agar milo to sajan sau tarah ki ghaten hain

butan sin mujh kun tu karta hai mana ai zahid

raha hun sun ki ye bhi KHuda ki baaten hain

azal sin kyun ye abad ki taraf kun dauDen hain

wo zulf dil ke talab ki magar baraaten hain

raqib ijz sin maqul ho sake hain kahin

ilaj un ka magar jhagDen hain wa laten hain

karo karam ki nigahan taraf faqiron ki

nisab-e-husn ki sahab yahi zakaten hain

rahin falak ke sada her-pher mein namard

ye ranDiyan hain ki charKHa hamesha katen hain

likhunga 'abru' ab KHush-nayan kun main nama

palak qalam hain meri mardumuk dawaten hain

(775) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gali Akeli Hai Pyare Andheri Raaten Hain In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Gali Akeli Hai Pyare Andheri Raaten Hain is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Gali Akeli Hai Pyare Andheri Raaten Hain for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Gali Akeli Hai Pyare Andheri Raaten Hain in PDF.