Garche Is Buniyaad-e-hasti Ke Anasir Chaar Hain

garche is buniyaad-e-hasti ke anasir chaar hain

lekin apne nist ho jaane mein sab na-chaar hain

dosti aur dushmani hai in butan ki ek si

chaar din hain mehrban to chaar din bezar hain

ji koi mansur ke jun jaan karte hain fida

we sipahi aashiqon ki fauj ke sardar hain

ye jo sajti hai kaTari-dar mashru ki izar

marne ke waqt aashiq ke nangi tarwar hain

dosti aur pyar ki baaton pe KHuban ki na bhul

shoKH hote hain nipaT ayyar kis ke yar hain

jo nasha jwani ka utrega to khinchenge KHumar

ab to KHuban sab sharab-e-husn ke sarshaar hain

kis tarah chashmon seti jari na ho dariya-e-KHun

thal na paira 'abru' hum war aur we par hain

(689) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garche Is Buniyaad-e-hasti Ke Anasir Chaar Hain In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Garche Is Buniyaad-e-hasti Ke Anasir Chaar Hain is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Garche Is Buniyaad-e-hasti Ke Anasir Chaar Hain for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Garche Is Buniyaad-e-hasti Ke Anasir Chaar Hain in PDF.