Jalte Hain Aur Hum Sin Jab Mangte Ho Pyala

jalte hain aur hum sin jab mangte ho pyala

hote hain dagh dil mein jun jun kate ho la la

biksa hai tamam zalim tujh chashm ka dumbaala

laga hai us ke dil mein dekha hai jin mein bhaala

us shoKH-e-sarw-qad kun hum jaante the bhola

mil upri tarah sin kya de gaya hai baala

ai sard-mehr tujh sin KHuban jahan ke kanpe

KHurshid thartharaya aur mah dekh haala

jab sin tere mulaem galon mein dil dhansa hai

narmi sun dil hua hai tab sun rui ka gala

faujaan sin baDh chale jun yakka koi sipahi

yun KHal chhuT KHat sen mukh par rahe nirala

kyunkar paDe na mere girye ka shor jag mein

umDa hai mujh nayan sin anjhuwan ke sath nala

jogi hua pe nata lalach ka chhoDta nahin

kahta hai sab kun baba japta phire hai mala

jhamki dikha nigah ki dil chhin le chali hain

ye kis teri ankhiyon kun sikhla diya chhinala

ashaar 'abru' ke rashk-e-guhar hue hain

dagh-e-suKHan sin us ko lulu hua hai lala

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalte Hain Aur Hum Sin Jab Mangte Ho Pyala In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Jalte Hain Aur Hum Sin Jab Mangte Ho Pyala is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Jalte Hain Aur Hum Sin Jab Mangte Ho Pyala for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Jalte Hain Aur Hum Sin Jab Mangte Ho Pyala in PDF.