Jalte The Tum Kun Dekh Ke Ghair Anjuman Mein Hum

jalte the tum kun dekh ke ghair anjuman mein hum

pahunche the raat shama ke ho kar baran mein hum

tujh bin jagah sharab ki pite the dam-ba-dam

piyale sin gul ke KHun jigar ka chaman mein hum

late nahin zaban pe aashiq dilon ka bhed

karte hain apni jaan ki baaten nayan mein hum

marte hain jaan ab to nazar bhar ke dekh lo

jite nahin rahenge sajan is yathan mein hum

aati hai us ki bu si mujhe yasman mein aaj

dekhi thi jo ada ki sajan ke badan mein hum

jo kui ki haiga aap kun rakhta hai aap aziz

yusuf hain apne dil ke miyan pairahan mein hum

kyun kar na howe click hamara guhar-fishan

karte hain 'abru' ye taKHallus suKHan mein hum

(623) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalte The Tum Kun Dekh Ke Ghair Anjuman Mein Hum In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Jalte The Tum Kun Dekh Ke Ghair Anjuman Mein Hum is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Jalte The Tum Kun Dekh Ke Ghair Anjuman Mein Hum for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Jalte The Tum Kun Dekh Ke Ghair Anjuman Mein Hum in PDF.