Kya Buri Tarah Bhaun MaTakti Hai

kya buri tarah bhaun maTakti hai

ki mere dil mein aa khaTakti hai

zulf ki shan mukh upar dekho

ki goya arsh mein laTakti hai

ab talak garche mar gaya farhad

ruh patthar sin sar laTakti hai

dil kababon mein kaun kachcha hai

ishq ki aag kyun chaTakti hai

'abru' ja pahunch ki pyasi zulf

nagani ki tarah bhaTakti hai

(631) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kya Buri Tarah Bhaun MaTakti Hai In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Kya Buri Tarah Bhaun MaTakti Hai is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Kya Buri Tarah Bhaun MaTakti Hai for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Kya Buri Tarah Bhaun MaTakti Hai in PDF.