Nalan Hua Hai Jal Kar Sine Mein Man Hamara

nalan hua hai jal kar sine mein man hamara

pinjre mein bolta hai garm aaj agan hamara

piri kaman ki jyun mane nahin akaD kun

hai zoaf bich duna ab bankpan hamara

chalta hai jiw jis par jate hain us ke pichhe

saude mein ishq ke hai ab ye chalan hamara

milne ki hikmaten sab aati hain hum ko ek ek

go bu-ali ho launDa khata hai fan hamara

majlis mein aashiqon ki aur hi bahaar ho ja

aawe jabhi rangila gul-pairahan hamara

is waqt jaan pyare hum pawate hain ji sa

lagta hai jab badan se tere badan hamara

ye muskuraona hai to kis tarah jiyunga

tum ko to ye hansi hai par hai maran hamara

izzat hai jauhri ki jo qimti ho gauhar

hai 'abru' haman kun jag mein suKHan hamara

(700) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nalan Hua Hai Jal Kar Sine Mein Man Hamara In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Nalan Hua Hai Jal Kar Sine Mein Man Hamara is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Nalan Hua Hai Jal Kar Sine Mein Man Hamara for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Nalan Hua Hai Jal Kar Sine Mein Man Hamara in PDF.