Naznin Jab KHiram Karte Hain

naznin jab KHiram karte hain

tab qayamat ka kaam karte hain

gul pe jun os yun tere mukh par

TuT dil azhdaham karte hain

tum nazar kyun churae jate ho

jab tumhein hum salam karte hain

kya tamasha hai jab ki do mashuq

mil ke baham kalam karte hain

mominon ke dilon ko ye bad-kesh

kafiri kar ke ram karte hain

ishq ki saf manin namazi sab

'abru' ko imam karte hain

(912) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naznin Jab KHiram Karte Hain In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Naznin Jab KHiram Karte Hain is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Naznin Jab KHiram Karte Hain for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Naznin Jab KHiram Karte Hain in PDF.