Shab-e-siyah Hua Roz Ai Sajan Tujh Bin

shab-e-siyah hua roz ai sajan tujh bin

misal-e-shama jale ahl-e-anjuman tujh bin

hui hai jaan mujhe zindagi maran tujh bin

kafan hui hain badan ke upar basan tujh bin

na shahr bich mera dil lage na sahra mein

kuchh aawati nahin ai mah mujh sin ban tujh bin

hua hai aag ka shoala sharab pyale mein

laga hai jaan laban kun mere dahan tujh bin

udas dil pe hamara kahin na ja parcha

kaThin hua hai mujhe shahr mein basan tujh bin

kabhi to yaad kar iKHlas fatiha kahna

ki 'abru' ka hua hijr sin maran tujh bin

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab-e-siyah Hua Roz Ai Sajan Tujh Bin In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Shab-e-siyah Hua Roz Ai Sajan Tujh Bin is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Shab-e-siyah Hua Roz Ai Sajan Tujh Bin for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Shab-e-siyah Hua Roz Ai Sajan Tujh Bin in PDF.