Tira-rangon Ke Hua Haq Mein Ye Tap Karna Dawa

tira-rangon ke hua haq mein ye tap karna dawa

tirgi jati rahi chehre ki aur upchi safa

kya sabab tere badan ke garm hone ka sajan

aashiqon mein kaun jalta tha gale kis ke laga

tu gale kis ke lage lekin kinhi be-rahm ne

garm dekha hoega tere tain ankhiyan mila

bul-hawas napak ki az-bas-ki bhaari hai nazar

parda-e-ismat mein tu apne tain us sin chhupa

ashk-e-garm o aah-e-sard aashiq ke tain waswas kar

KHub hai parhez jab ho muKHtalif aab-o-hawa

garm-KHui sin pasheman ho ke Tuk lao araq

tap ki haalat mein pasina aawna ho hai bhala

dil mera tawiz ke jun le ke apne pas rakh

to tufail-e-hazrat-e-ashiq ke ho tujh kun shifa

tursh-goi chhoD de aur talKH-goi tark kar

aur khana jo ki ho KHushka tari so kar ghiza

'bu-ali' hai nabz-dani mein butan ki 'abru'

us ka is fan mein jo nusKHa hai so hai ek kimiya

(638) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tira-rangon Ke Hua Haq Mein Ye Tap Karna Dawa In English By Famous Poet Abroo Shah Mubarak. Tira-rangon Ke Hua Haq Mein Ye Tap Karna Dawa is written by Abroo Shah Mubarak. Read famous Poem Tira-rangon Ke Hua Haq Mein Ye Tap Karna Dawa for youth and Student by Abroo Shah Mubarak. Free Download Tira-rangon Ke Hua Haq Mein Ye Tap Karna Dawa in PDF.