Ishq Ki Sai-e-bad-anjam Se Dar Bhi Na Sake

ishq ki sai-e-bad-anjam se Dar bhi na sake

hum teri chashm-e-inayat se utar bhi na sake

tu na milta magar allah re mahrumi-e-shauq

jine wale teri ummid mein mar bhi na sake

barq se khelne tufan pe hansne wale

aise Dube tere gham mein ki ubhar bhi na sake

husn KHud husn-e-mujassam se pashiman uTTha

aaina le ke wo baiThe to sanwar bhi na sake

tishna-lab baiThe hain mai-KHana-e-hasti mein 'sahar'

dil wo TuTa hua paimana ki bhar bhi na sake

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ki Sai-e-bad-anjam Se Dar Bhi Na Sake In English By Famous Poet Abu Mohammad Sahar. Ishq Ki Sai-e-bad-anjam Se Dar Bhi Na Sake is written by Abu Mohammad Sahar. Read famous Poem Ishq Ki Sai-e-bad-anjam Se Dar Bhi Na Sake for youth and Student by Abu Mohammad Sahar. Free Download Ishq Ki Sai-e-bad-anjam Se Dar Bhi Na Sake in PDF.